Ek kahani humaari zubaani

SOrry to the non hindi speaking junta :)…i’ll translate this sometime.

“””

Toh bachhon mein tumhe ik kahani sunata hoon ….ye baat bahut puranni hai …par itni bhhi nahi ki isme dianasnore ho …magar tum daro nahi khannni aisee hai ki bus tumhare dimaag ke matmailey cells khade ho jaayenge….

Haan toh ek zamaana thha …bahooot puraaana….tab bharat men dooodh ki nadiyan aur sone ka popat udta thha ….haan ye bevade vaala popat nahi hai jisse hum sabki mummiyan sabzi kaatthin hain ….yeh thhe asli popat ,paron vaale .jub ye paidon par baithhkar kohoo kohooo kiya karte the toh jaane kitne premi in pedon ke neeche baith kar ghaans ukhhadthe thhe.

Haan toh isi zamaane ki hamaare kahaani ki setting hai . toh is zamaane mein ik desh thha ,chota sa ,pyara sa ….aur is desh mein ik raja thha . Us raja ke koi santaan nahi thhi ….aaaek din vahaan ek saaaadhu aaye,khooob jaane maane .raja ne unke saamne apni iltaza rakhi …ab tum agar is bhulaave mien pad jaao ki raja ne choonki iltaza rakhi ,is liye voh zaroor musalmaan hoga ,toh is bhulaave se nikalo …voh toh raja kaafi shero shayari ka shaukeen thha is liye kah diya …aur kah diya so kah diya..

..isme pareshaan hone ki kaun sii baat hai.haan toh raja ne apni baat kahi .. .saadhu jee kuchh kshann soche aur bole … “jab tak tumhaare desh mein sone ke popat udte rahenge tab tak tum aulaad naseeb nahin karoge!”…yeh sun kar raja kinkartavyavimoodh” ho gaye ….bole ab aap hi boliye maharaj …aaap hi sarvagya hain, tino lokon mein aap ki jay jaykaar hoti hai ….sadhu bole ab bus ek hi tareeka hai ….kisi stud baheliye ko bula kar desh ke saare sone ke popat pakadva lo …aur unhe gala(melt) kar jo sona nikle uska bhasm kar chyavanprash mein dalva do. Fir khhud 1k chamacchh aur apne mantri ko 4 chamach khila do …sabka kalyaaan hoga.

Raja ne vaisa hi kiya aur kuchh hi maheenon mein (9) use ek sundar kanya (politically correct) ke baap hone ka bhagya praapt hua….haan aur voh kanya bilkul uske mantri par gayee thhi .toh bachhon ab samjhe ki Metallurgy ki shuruaat kin paristhithiyon mein hui thi.

AB har kahani mein ik seekh hoti hai ….is mein bhhi hai ab tum hi decide

karo ki tumhe raja banna hai ,saadhu ,kanya(?) yaa Mantri………”””

ps – is chyavanpraash ka aap bhi sevan kar sakten hain ,ye bazaar mein

uplabhdh hai (par aajkal logon ko ladke ki chaah bhhi hoti hai isiliye

ismen chaandi bhhi mila dete hain)

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top